Hi friends, aaj mai aapko fast charging android Apps ke bare me bataunga jinko use karke aap aapne android phone ko fast charging kar sakte hai, agar aapne pehle kabhi fast charging android Apps ke bare me suna hoga toh aap yakinan isme interested hoge.
- Kisi Bhi WiFi Ka Password Kaise Pata Kare
- Android Phone Ko DSLR Camera Banaye Photo Ko Blur Kare
- Android Phone Me Free internet Kaise USE Kare
In Apps ko use karke aap aapne android phone ko 5X fast charge kar sakte hai aur aapna time bacha sakte hai. Waise toh fast charging karne ke liye bahot sare android Apps hai lekin aaj maine kuch bahot hi best android Apps pick kiye hai jo 100% work karege aur aapka time save karenge.
Basically jab aap in Apps ko download aur install karenge toh ye Apps automatically detect karenge kya phone me charging ho rahi hai ya nahi aur agar Apps find karte hai phone me charging ho rahi hai toh ye Apps automatically background Apps ko kill karta hai aur aapka phone fast charge hone lagta hai.
Top Android Apps Phone Ko Fast Charge Karne Ke Liye
1. Fast Charging
Ye ek bahot hi badiya android App hai jo ki background Apps ko kill karke aapke android phone ko fast aur speed se charging karta hai is App ko aap playstore se download kar sakte hai. Aapko bus karna itna hai aapne phone ko charging ko lagana hai aur is App ko open karna hai now start button par click karna hai then ye App automatically iska work karna start kar deta hai. Aapko is App me ads dikhenge aur aapko in ads ko bardasht hi karna padega. Is App ko Aap niche ke download button par click karke download kar sakte hai.
2. Fast Charging Pro
Ye App ek sabse acha android App hai jo background task ko kill karke aapke android phone ko fast charge karne me help karta hai. Ek bar is App ko download aur install karne ke bad ye automatically detect kar leta hai aapke phone me charger lagaya hai ya nahi agar aapka phone charge ho raha hoga toh ye App open ho jayega now App open hone ke bad aapko sirf bade start button par click karna hai. Is App ko aap playstore se download kar sakte hai ya aap chahe toh niche download link hai us par click karke bhi ise download kar sakte hai. Is App ki ek khasiyat hai isme aapko ads nahi dikhege aur actually isme ads hoge hi nahi ye App ads free hai.
3. Super Fast Charger 5X
Jaise se ki is App ka name hai Super Fast Charger 5X ye App aapke phone ko panch guna jyada speed se charge karega aur aapka time bachayega. Agar aap kahi travel kar rahe hai toh aapko bahot kam time milta hai ek jagah ruk kar phone ko charge karne ke liye toh aiseme aap is App ko use kar sakte hai aur ye App aapki bahot jyada help karega. Is App par aapko ads dikhege kyu ki ye free App hai. Aap ise simply playstore se free download kar sakte hai ya download karne ke liye aap niche ke download link par bhi click kar sakte hai.
4. Fast Charger Plus Ram Cleaner
Ye ek one of the best Application hai humare phone ki Ram ko optimize karne ke liye jaise ki iska name hai ye Application humare phone ki Ram ko clean karta hai aur unwanted task ko close kar deta hai is App ko aap playstore se free download kar sakte hai ya aap niche ke download link par click karke bhi ise download kar sakte hai but is App par ads aapko dekhne ko milege.
5. Battery HD
Battery Hd ek dusra best android App hai jo aapke phone ko fast charge karne me help karta hai. Is aap ke sath aapko kafi acha user interface milta hai aur use karne ke ye App bahot hi asaan hai koi bi is App ko asaanise use kar sakta hai.
So upar ki link par click karke aap battery HD is App ko download kar sakte hai ya aap chahe toh directly playstore me battery Hd search karke is Application download aur install kar sakte hai. Agar aapko ye App install karne me koi bhi problem hota hai toh aap mujhe niche comment karke puch sakte hai.
So viewers is tarah se aap aapne android phone ko fast charge kar sakte hai agar aap bussy person hai toh. I hope aapko ye post pasand aa gai hai aur App jan chuke hai ki kaise phone ko fast charge karte hai agar aapko ye post pasand aa gai hai toh niche ke social sharing buttons par click karke ise share jarur kare.
Leave a Reply