Agar aap aapne Android Phone ko manually update karna chahte hai toh is post ko last tak padiye is post me mai aapko bataunga aap aapne kisi bhi Android smartPhone ko update kaise kar sakte hai aap jis version me chahe us version me.
Is post ko padne ke bad aap aapne kisi bhi Android Phone ko kisi bhi version se kisi bhi version me upgrade kar paoge.
Basically agar hume Android Phone update karna hota hai toh hum u se directly settings me jakar update wale option par click karke update karte hai lekin mostly kya hota hai humare Android Phone ke liye company koi update provide nahi karti fir aise case me hume aapna smartPhone manually update karna padta hai jise “Flash Custom Roms” aisa bhi bolte hai.
So Custom Roms flash karne ke liye yani aapne Phone ko upgrade karne ke liye pehli bat aapka Phone Rooted hona jaruri hai aur dusri bat aapke Phone me Marshmallow install honi bahot jaruri hai. Agar aapko Root aur Marshmallow kya hai pata nahi toh aap niche ke links par click karke pad sakte hai, jaha maine details me bataya hai.
- Custom Recovery Kaise Install Kare Android Phone Me
- Kisi Bhi Android Phone Ko Safely Root Kaise Kare 2017
Android Phone Ko Upgrade Kaise Kare
Mai umid karta hu aapne Root aur Marshmallow wali post ko pad liye hai kyu ki Phone ko manually update karne ke liye do hi chije jaruri hai, ek Phone root hona aur dusri Phone me Marshmallow install hona aur bina Phone ko root kiye hum usme Marshmallow install bhi nahi kar sakte.
So chaliye topic par aate hai, Phone ko update karne se pehle aap aapne sabhi data ka backup lijiye, agar Phone ko kuch ho gaya toh latter hum us backup ko use kar paye.
Agar aapne sabhi data ka backup le liya hai toh update karne ke liye niche ke steps ko follow kariye :
- Sabse pehle hume two files download karni padege, pehli Android version file aur dusri Gapps. Android version aur Gapps in do files ko download karne ke liye google me search kariye, “Marshmallow Rom Download”
Search karne ke bad aapko yaha xda-developers.com ki website dikhege us par click kariye. Click karne ke bad aapko yaha file download karne ke liye link milegi us par click karke aapne Android version ki file ko download kariye.
Agar aapko koi dusre version me aapna Phone update karna hai toh aap Marshmallow ko hata kar us version ka name add kar sakte hai, jaise ki “Lollipop Rom Download”
Jaise aapne Android version ki file ko download kiya u si tarah aap Google me search karke “Gapps” File ko download kariye, us ke liye aap Google me search kar sakte hai “Download Gapps for Android”
- Ab aapke pass two files hai ek Android version ki yani roms ki aur dusri Gapps file, toh ab in dono files ko jis Phone ko update karna hai us Phone ke sd card me save kariye.
- Now, hume jana hai recovery mode me toh recovery mode me jane ke liye, Phone ko off kariye aur Home+Volum down+Lock in tino buttons ko ek sath dabaye rakhe aap recovery mode me chale jaoge, agar aapke Phone ko home screen button nahi hai yani bich wala button nahi hai toh aap Volum Down+Lock in do buttons ko ek sath dabaye rakhiye aap recovery mode me chale jaoge.
- Recovery mode me aane ke bad hume sabse pehle old Android version ka backup lena hai toh yaha backup par tap kariye, Backup Storage Sd card select kariye aur swipe kariye. Backup ban jane ke bad fir se home page par vapas aayiye.
- Homepage par aapke samne sabse pehla option hoga install, us par tap kariye. Now aapko yaha us Android version ki file ko select karna hai jo humne sabse pehle step me download kiya tha, file ko select karne ke bad Swip kariye. Now kuch time wait kariye thodi hi der me file install ho jayegi.
- version file install hone ke bad home page par vapas aayiye aur same tarike se Gapps yani ki dusri file jo humne download karke rakhi thi usko bhi install kariye.
- Now is last step me Rebot par tap kariye. Ab aap dekh pa rahe hoge ki aapka Phone update ho chuka hai.
I hope friends aapko ye post pasand aa gai hai aur aap jan chuke hai kaise kisi bhi Android Phone ko kisi bhi Android version me update kar sakte hai.
Ye posts ko bhi padiye :-
- Pata Kare Aapki Girlfriend Kis Se Bat Kar Rahi Hai
- Android Phone Se Music Ke Sath Songs Records Kare – KaraOke
- Best 6 Funny Android Apps Friends Ke Sath Pranks Karne Ke Liye
- Kisi Bhi WiFi Ka Password Kaise Pata Kare
Ek bat yad rakhiye ye custom roms flash karne ki process hai aapka Phone dead bhi ho sakta hai agar aapke Phone ko kuch ho jaye toh iski puri jimmedari aapki hai.
Toh agar aapko ye post pasand aaye toh ise social media par share jarur kariye aur latest post ka email notification lene ke liye humare blog ko subscribe kariye.
bhai hum ek domain aur host kharidte hai 1 sal ke liye agar 10 baki ho expire ke liye to usee double kharid sakte hai ki nahi http://www.helphindi.in
Ha aap kabhi bi renew kar sakte hai bache hua din add ho jayege.
Hlo sir me phone update karne ke bad unrood kar sakta hu
नहीं होगा update करने के बाद।
Sar mera mobile Samsung galaxy grand i9082 hai mujhe mere mobile ke liye custom rom nahi mil rahi mene mobile me twrp install kar rakhi hai please link sent kijye taki me download karke flash kar saku
Google पर find करो।