Hello friends, Mai ajj apko bataunga Flipkart se chijo ko kaise order kare. Flipkart.com ye ek E-Commerce site hai E-Commerce matlab online business chijo ko khardna aur bechna balki na sirf bechna aur kharidna grahko ki seva bhi karna. Aaj kal to online business bahot hi jyada bad gaya hai jyada tar log kuch kharidna ho to online hi kharidna pasand kar rahe hai kyo ki online me apko bahot hi options aur market rate se kam rate aur dher sare offers bhi mil rahe hai. Iss liye online buying aur selling bad gayi hai. Mai ye post is liye likh raha hu kyo ki bahot saare log hai jo online kharidi to karna chahhte hai par computer ke apure knowledge ki bajese wo kuch kar nahi pate un logo ko is post ki help se online kharidi karna aaye our online offers ka fayda mile.
How to Order Any Item From Flipkart
jaise hume real life me kuch bhi karna hai toh identity proof lagata hai wahse hi agar apko online kuch bhi kaam karna ho to uske liye E-mail ID hona bahot jaruri hai. Email ID humari ek online pehchan hoti hai like humre phone number jaise hi hoti hai jis par log hume online contact kar sakte hai. Flipkart se apko kuch kharidna ho to uske liye bhi E-mail Account hona jaruri hai. agar apke pass email account nahi hai to niche diye gaye link par click kare aur sikhiye email id kaise banaye. Waise toh online shopping karne ke liye bahot sari websites hai lekin flipkart aaj kal bahot jyada use ho raha hai aur kariban sare bade bade city me flipkart ka order pahuch raha hai is liye mai aapko flipkart par online shopping kaise kare bata raha hu.
How to Purchase Any Item From Flipkart
Step 1 : Pahle apna web browser open karke adress bar me Flipkart.com type karke enter kare Flipkart site open kariye. Aap google me search karke bhi open kar sakte hai. Open karne ke baad sabse uper right site me apko signup ka option dikhenga waha click kare. Kyoki Flipkart pe apko apna khudka account create karna hoga aur pahle se hi Flipkart par apka account hoga to login karle.
Sign up par click karne ke baad sign up box open hoga usme apka mobile no dalke next kare.
Abhi apne jo mobile no dale us no par ek SMS ayega usme ek verification code hoga wo verificaton code yaha dalkar niche password create kare jo bhi password app chahe rakh sakte hai aur next kare.
Abhi Flipkart pe apka account khul gaya hai.
Step 2
Abhi right side me sabse upar jo my account hai uss par click kare maine nich screen shot me bataya hai waha dek sakte ho. Abhi yaha apna name aur sir name dalkar save kardijiye.
Save karne ke baad issi page par left side me jo side baar hai usme niche settings me address par click kare address par click karne par ek forum open hoga yaha par jo hai wo puri information fill karde aur last me save changes par click kare.
Step 3
Flipkart ke home page par click karke home page ke search box me jo bhi things apko kharidni hai wo search kare jaise apko koi mobile kharidna ho to mobile ka naam modal no dalde (Lumia 730) search par click kare.
Yaha apko list dikhenge image ke sath abhi apko jo pasand hai u se choose karke use item par click kare.
Abhi apne jo bhi item choos kiya hai wuski puri details yaha par hogi jaise specification colour ya aur kuch wo pura app check karke Buy now par click kare.
Step 4
Abhi yaha is page par apna adress naam confirm karle agar apko adress naam change karna ho to yaha app kar sakte ho adress naam confirm hai to nich apna Email id dale email id par invoice bheja jata hai email dalna jaruri hai aur badme Continue par clik kare.
Step 5
Abhi Jo page open hoga waha par payment method select karna hai mai yaha par COD select karta hu cod matlab cash on delivery select karne ke baad nich captcha code dalkar Confirm order par click kare. ( Cash on delivery means jab aapka order aapke gharpe deliver ho jayega tab aapko paise dene padege. )
Apki order successfully confirm ho gayi hai. Aapko aapna order jyada se jyada 8 days me mil jayega.
Ummid hai jin logo ko computer puri taraha handle nahi karna atta hai aur english bhi jyada na aati ho unko is hindi post ki help se online kharidi karne me assani hongi. Agar aapko ye post pasand aa gai hai toh ise share jarur kariye aapke ek share se hume bahot help hogi. Agar aapk new posts ka email notification chahiye toh humare blog ko subscribe kariye.
Leave a Reply to Anonymous Cancel reply