Dear readers kya aapke father ne diye hua pocket money se aapke kharche pure nahi ho rahe hai aur aap khud kuch kam karke paise kamana chahte hai toh is post ko pura padiye ye post sirf aapke liye hi hai. Agar aap student hai aur aap kahi se paise kamane ki soch rahe hai par aapko aisa lagta hai mujhe toh kuch bhi nahi aata mai kaise paise kama sakta hu toh readers aap galat soch rahe hai is duniya me paise kamana koi muskill kam nahi hai sirf hume is bat ko positive lena hoga.
So aaj mai aapko YouTube se online paise kaise kamaye bataunga. Readers hum YouTube se aapne ghar baithe online paise kama sakte hai aur yaha aapke income par koi limit nahi hogi aap jitna kam karoge utne hi jyada income paoge. India mai kuch aise log hai jinka sirf YouTube hi full time job hai.
Pichli post me maine aapko bataya tha YouTube par channel bana kar video kaise upload kare, I guess that pichli post padkar aap YouTube par videos upload karna toh sikh chuke hai. Now hum sikhenge YouTube ke videos ko monetize karke us se paise kaise kamaye.
- Website (Blog) Kaise Banate hai – Complete Guide for New Bloggers
- Blog ( Website ) Bana Kar Paise Kaise Kamaye Bina investment Kiye
YouTube Se Paise Kamane Ke Tarike
YouTube online paise kamane ka sabse aasan tarika mana jata hai. YouTube se online paise kamane ke liye bahot se tarike hai aaj unmese mai aapko easiest tarike bataunga jise padkar aap aapne liye sahi income source choose kar sakte hai.
1.Google Adsense :
Google Adsense YouTube se paise kamane ka sabse aasan tarika hai. Google Adsense ko YouTube ke channel se jodne ke bad. YouTube videos par google adsense contextual ads dikhayega aur jab koi us ad par click karega us ke aapko paise milege. Earn kiye hua paise withdrow karne ke liye aapko aapne bank account ki detail Google Adsense account me dalni padegi. Is method se india me bahot sare log paise kama rahe hai. Agar aap online earning ke word me new hai toh mai aapko suggest karunga aap Google Adsense hi choose kariye.
2. Sponsored Video :
Reader is tarike se paise kamane ke liye aapka YouTube channel bahot populer hona jaruri hai aur aapke pass channel subscribers jyada hone chahiye. Sponsored Video means aapko aapke video se pehle ya video khatam hote time short ads dikhane padege. Jo company ke ads aap dikha rahe hai wo aapko paise dete hai. Is Source se aap paise bahot jyada kama sakte hai lekin aapko aapna channel populer karne ke liye mehnat bhi utni hi karni padegi.
3. Affiliate Marketing :
Affiliate Marketing means aapko kuch product ki marketing karni padegi aapke YouTube channel ke through fir jab koi user us product ko kharedega aapko uski commission milegi. Commission products ke upar depend karti hai koi product me aapko 10% milta hai toh product me 15% bhi milta hai. Reader ye short time jyada paise kamane ke liye aacha tarika hai. Affiliate marketing ke liye aapko aapke channel par bahot mehnat karni padegi, aapka channel bahot populer hona chahiye.
How Much Money I Can Make from YouTube
Ye question almost sabhi new vloggers ke man me aata hai. Dekho aap aapne YouTube channel se kitne paise kama sakte hai ye toh mai exactly nahi bata sakta fir bhi aapko ek avarege de deta hu jis se aap aandaja laga sakte hai.
Man lo aapke Videos ko daily 1000 view aa rahe hai, toh aap $1.5 se $2 tak 90% kama sakte hai lekin iska ye matlab nahi hai aap itna hi kamaoge, isme kam jyada bhi ho sakta hai. YouTube par jyada earning hone ke chances jyada hai kyu ki is par log bahot jyada matra me online rehte hai.
YouTube par aise channel bhi hai jinke subscribers 1 lakh tak hai aur ye channels roj ke hazaro rupey kama rahe hai jaise ( Kyakaise ) lekin tazub ki bat ye hai readers ye channels hindi hai.
Vlogging Se Related Common Question and unke Answer
Vlogging means video blogging. Jab hum koi video blog banate hai aur usme aapne thoughts logo ke sath share karte hai toh use video blogging bolte hai.
New vloggers jo hai means jo YouTube se paise kamane ki soch rahe hai unko ye post padne ke bad man me bahot sare sawal aa rahe hoge is liye jo common sawal hai jo har kisi ke man me aata hai wo mai niche mention kar raha hu. Aap aapna sawal yaha relate kar sakte hai.
1 . YouTube Channel kya hai aur kaise banaye?
Ans – YouTube channel kya hai aur kaise banate hai uski detail jankari aap yaha pad sakte hai.
2. YouTube vidoes se jo paise kamayenge wo kaha par jama hoge/dekhenge?
Ans – YouTube videos se jo paise hum kamayenge wo hum Google Adsense ke account check kar sakte hai.
3. Paise hume kab milege?
Ans – Paise withdrawal karne ke liye aapko account me kam se kam $100 generate hone chahiye. Jab aap $100 ya usse jyada earn kar loge toh har mahine ki 22-25 tarikh ke bich aapko paise bhej diye jayege.
4. Paise kaha par aur kaise milege?
Ans – Paise Adsense aapke bank account me trancefer kar dega.
5. Bank Account detail kaha dalni hai?
Ans – Google Adsense ke account me aapko bank account detail dalni padegi. Jo bank account aap specify karoge us account me paise transfer kiye jayege.
6. Google Adsense kya hai?
Ans – Google Adsense ek Advertisement network hai.
7. Google Adsense ko YouTube ke sath kaise jodte hai.
Ans – Adsense ko YouTube ke sath jodne ke liye thodisi long process hai mai ye aapko aane wali post me bataunga.
8. YouTube par Adsense ke ads dikhane ne ke liye channel kitne din puran hona chahiye?
Ans – Channel purana hone ke liye aisi koi limmitations nahi hai. Agar aapke videos ko 600-700 views hai toh aap adsense use kar sakte hai videos ke liye.
9. Kya hum kisi aur ke videos youtube par upload kar sakte hai?
Ans – Bahi bilkul nahi aap kisi aur ke videos aapne YouTube channel par upload nahi kar sakte.
10. Kya YouTube se paise kamane ke tarika full-time job ban sakta hai?
Ans – Han bilkul ban sakta hai. Aise bahot se log hai jo YouTube par full-time job karte hai aur lakho kamate hai.
I hope aapko ye post pasand aagai hai aur aap jan chuke hai YouTube se kis tarah paise kamaye jate hai. Aane wali post me mai aapko bataunga YouTube ke liye Adsense kaise apply kare. Agar aapko ye post pasand aa gai hai toh aapne friends ke sath social media par jarur share kariye. New post ka email notification chahiye toh humare blog ko subscribe kariye.
Agar hum kisi aur ke videos YouTube par upload Kare tou kia honga…
Video delete ho jayega aur aap par complaint bhi.
May I take yr W/app no. Pls
.
I does not use WhatsApp.
bro mere blog me sabhi post home page par ek saath kyun show ho rahi he.. read more ka option kyun nahi he. pls help me. my website is clickmeworld.blogspot.com he
Excerpt post is option ko off kardo ya desable kardo.
mera ram expender install nahi ho raha hai
ye sach h ki youtube se pese kama skte h
100% sach hai. is site par koi bhi information jhut nahi hai.
Google Adsense mene download kiya par usme account open nhi ho rha direct chalu ho rha he bank account aisa kuch puchh nhi rha he or ha bank account add karna safe he ? You tube pe account khula video bhi upload kiya but ye Google Adsense nhi ho rha mene download kiya he vo 3.0 ka version he ab kya karu aage to mera kaam ho jaye ……thnx sir idea ke liye , achha article he sab aapke
Bhai pehle adsene ke liye apply karna padta hai direct account nahi khulta.
aap ye post padiye :-
YouTube Ke Liye Adsense Account Kaise Banaye
Bhai google adsence ke bina paisa ni kama sakte
Ha kama sakte hai.
Mere pas Micromax q332 hai, uska hamesa software crash ho jata hai. kaise think kare
Reset kariye agar fir bhi nahi hua toh update kariye.
bhaiii YouTube adsence phone se nahi ho skta haii pc ki jarut padegi kya
Ho sakta hai lekin time bahot lagega.
phone she hoga kya
Hoga lekin time jyada lagega.